Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Shahid

  • Ghazal


aate hain pahle lab pe sawalat KHud-baKHud


aate haiñ pahle lab pe savālāt ḳhud-baḳhud
phir ham ko sūjhte haiñ javābāt ḳhud-baḳhud

sochoñ meñ apne aap utartī hai raushnī
jaltī hai dil meñ mash.al-e-jazbāt ḳhud-baḳhud

jab tak na leñge fahm-o-farāsat se kaam ham
badlegī kaise sūrat-e-hālāt ḳhud-baḳhud

qasr-e-tasavvurāt meñ jab se muqīm haiñ
hotī hai roz un se mulāqāt ḳhud-ba-ḳhud

tanvīr jin kī hai mire ik ek lafz meñ
nāzil huī haiñ mujh pe vo āyāt ḳhud-ba-ḳhud

chamkā hai kis kī yaad kā sūraj ḳhayāl meñ
raushan huā hai shahr-e-ḳhayālāt ḳhud-ba-ḳhud

'shāhid' isī kā naam hai taufīq-e-aizdī
niklā zabāñ se harf-e-munājāt ḳhud-ba-ḳhud

aate hain pahle lab pe sawalat KHud-baKHud
phir hum ko sujhte hain jawabaat KHud-baKHud

sochon mein apne aap utarti hai raushni
jalti hai dil mein mashal-e-jazbaat KHud-baKHud

jab tak na lenge fahm-o-farasat se kaam hum
badlegi kaise surat-e-haalat KHud-baKHud

qasr-e-tasawwuraat mein jab se muqim hain
hoti hai roz un se mulaqat KHud-ba-KHud

tanwir jin ki hai mere ek ek lafz mein
nazil hui hain mujh pe wo aayat KHud-ba-KHud

chamka hai kis ki yaad ka suraj KHayal mein
raushan hua hai shahr-e-KHayalat KHud-ba-KHud

'shahid' isi ka nam hai taufiq-e-aizdi
nikla zaban se harf-e-munajat KHud-ba-KHud


Leave a comment

+