Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aashufta Changezi

  • Ghazal


aankhon ke band bab liye bhagte rahe


āñkhoñ ke band baab liye bhāgte rahe
baḌhte hue itaab liye bhāgte rahe

sone se jāgne kā ta.alluq na thā koī
saḌkoñ pe apne ḳhvāb liye bhāgte rahe

fursat nahīñ thī itnī ki pairoñ se bāñdhte
ham haath meñ rikāb liye bhāgte rahe

tezī se bīt.te hue lamhoñ ke saath saath
jiine kā ik azaab liye bhāgte rahe

kuchh zindagī kī vaj.h samajh meñ na aa sakī
sochoñ kā ik nisāb liye bhāgte rahe

aankhon ke band bab liye bhagte rahe
baDhte hue itab liye bhagte rahe

sone se jagne ka talluq na tha koi
saDkon pe apne KHwab liye bhagte rahe

fursat nahin thi itni ki pairon se bandhte
hum hath mein rikab liye bhagte rahe

tezi se bitte hue lamhon ke sath sath
jine ka ek azab liye bhagte rahe

kuchh zindagi ki wajh samajh mein na aa saki
sochon ka ek nisab liye bhagte rahe


Leave a comment

+