Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nadeem Gullani

  • Ghazal


tu samajhta hai gar fuzul mujhe


tū samajhtā hai gar fuzūl mujhe
kar ke himmat zarā sā bhuul mujhe

ek shaffāf ā.īna thā maiñ
rāste ne kiyā hai dhuul mujhe

chor raste ke sāhib-e-dīvāñ
añkhḌiyāñ khol kar qubūl mujhe

maiñ zamāne pe terā qarzā huuñ
kab karegā bhalā vasūl mujhe

tu samajhta hai gar fuzul mujhe
kar ke himmat zara sa bhul mujhe

ek shaffaf aaina tha main
raste ne kiya hai dhul mujhe

chor raste ke sahib-e-diwan
ankhDiyan khol kar qubul mujhe

main zamane pe tera qarza hun
kab karega bhala wasul mujhe


Leave a comment

+