Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kalidas Gupta Raza

  • Ghazal


lab-e-KHirad se yahi bar bar niklega


lab-e-ḳhirad se yahī baar baar niklegā
nikālne hī se dil kā ġhubār niklegā

ugeñge phuul ḳhayāloñ ke reg-zāroñ se
ḳhizāñ ke ghar se julūs-e-bahār niklegā

kahīñ fareb na khānā yahī fidā-e-jām
ba-vaqt-e-kār ajab hoshyār niklegā

chaman kā husn samajh kar sameT laa.e the
kise ḳhabar thī ki har phuul ḳhaar niklegā

ye hukm hai ki koī rāh-e-rāst par na chale
havā ke ghoḌe pe koī savār niklegā

kise nahīñ hai shikāyat 'razā' zamāne se
TaTolo koī jigar dāġh-dār niklegā

lab-e-KHirad se yahi bar bar niklega
nikalne hi se dil ka ghubar niklega

ugenge phul KHayalon ke reg-zaron se
KHizan ke ghar se julus-e-bahaar niklega

kahin fareb na khana yahi fida-e-jam
ba-waqt-e-kar ajab hoshyar niklega

chaman ka husn samajh kar sameT lae the
kise KHabar thi ki har phul KHar niklega

ye hukm hai ki koi rah-e-rast par na chale
hawa ke ghoDe pe koi sawar niklega

kise nahin hai shikayat 'raza' zamane se
TaTolo koi jigar dagh-dar niklega

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 lab-e-KHirad se yahi bar bar niklega Nomaan Shauque

Leave a comment

+