bhare paḌe hue sab bāġh-o-rāġh the us din
galī meñ phuul gharoñ meñ charāġh the us din
ye aur baat tire sāmne nahīñ aa.e
mire jilau meñ ka.ī bad-dimāġh the us din
uḌā liyā thā kisī ne ḳhumār āñkhoñ se
tahī sabāhat-e-gul se ayāġh the us din
shikasta-hāl paḌā thā maiñ apne bistar par
khule hue sabhī rañg-e-farāġh the us din
kahīñ libās badalte hue sitāre the
kahīñ lahakte hue ḳhāna-bāġh the us din
hameñ vo DhūñD na paayā thā rāt-bhar 'sājid'
ki ham usī kī tarah be-surāġh the us din
bhare paDe hue sab bagh-o-ragh the us din
gali mein phul gharon mein charagh the us din
ye aur baat tere samne nahin aae
mere jilau mein kai bad-dimagh the us din
uDa liya tha kisi ne KHumar aankhon se
tahi sabahat-e-gul se ayagh the us din
shikasta-haal paDa tha main apne bistar par
khule hue sabhi rang-e-faragh the us din
kahin libas badalte hue sitare the
kahin lahakte hue KHana-bagh the us din
hamein wo DhunD na paya tha raat-bhar 'sajid'
ki hum usi ki tarah be-suragh the us din
Leave a comment