Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zafar Zaidi

  • Ghazal


har ek din tha usi ka har ek raat uski


har ek din thā usī kā har ek raat us kī
mire badan meñ rahī muddatoñ hayāt us kī

mirī kitāb meñ us kā bayān sach hī to hai
ki mere zehn pe chhā.ī huī hai zaat us kī

ajiib ḳhvāb dikhāyā hai raat āñkhoñ ne
ki mere naam se mansūb hai barāt us kī

sisak sisak ke koī ro rahā thā dil meñ mire
kisī ne jaise churā lī ho kā.enāt us kī

mujhe nasīb huā zabt kā ḳhudā honā
ki mere hāthoñ sajā.ī ga.ī barāt us kī

mirī sadā kā bhī koī na sunñe vaalā milā
vo chup thī aur sabhī sun rahe the baat us kī

har ek din tha usi ka har ek raat us ki
mere badan mein rahi muddaton hayat us ki

meri kitab mein us ka bayan sach hi to hai
ki mere zehn pe chhai hui hai zat us ki

ajib KHwab dikhaya hai raat aankhon ne
ki mere nam se mansub hai baraat us ki

sisak sisak ke koi ro raha tha dil mein mere
kisi ne jaise chura li ho kaenat us ki

mujhe nasib hua zabt ka KHuda hona
ki mere hathon sajai gai baraat us ki

meri sada ka bhi koi na sunne wala mila
wo chup thi aur sabhi sun rahe the baat us ki


Leave a comment

+