Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nadeem Gullani

  • Ghazal


sahil pe tere baad ki virani kha gai


sāhil pe tere ba.ad kī vīrānī khā ga.ī
utre samundaroñ meñ to tuġhyānī khā ga.ī

tāqat ye chaar din kī hai tārīḳh paḌh zarā
sultān kitne the jinheñ sultānī khā ga.ī

duniyā badal ga.ī thī koī ġham na thā mujhe
tum bhī badal ga.e the ye hairānī khā ga.ī

sahil pe tere baad ki virani kha gai
utre samundaron mein to tughyani kha gai

taqat ye chaar din ki hai tariKH paDh zara
sultan kitne the jinhen sultani kha gai

duniya badal gai thi koi gham na tha mujhe
tum bhi badal gae the ye hairani kha gai


Leave a comment

+