Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yaqoob Arif

  • Ghazal


wo rahbar to nahin tha iada kya karta


vo rāhbar to nahīñ thā i.aada kyā kartā
banā ke raah meñ vo koī jaada kyā kartā

nahā rahā ho ujāloñ ke jo samundar meñ
vo le ke zulmat-e-shab kā labāda kyā kartā

har ek shaḳhs jahāñ maslahat se miltā ho
vahāñ kisī se koī istifāda kyā kartā

na jis meñ rañg na ḳhāka na koī aks-e-jamāl
banā ke aisī maiñ tasvīr-e-sāda kyā kartā

mahāz-e-jañg meñ vo apne farz kī ḳhātir
na detā jaan to āḳhir piyāda kyā kartā

jahāñ pe hotā ho insāniyat kā ḳhuuñ 'ārif'
maiñ aisī duniyā meñ rah kar ziyāda kyā kartā

wo rahbar to nahin tha iada kya karta
bana ke rah mein wo koi jada kya karta

naha raha ho ujalon ke jo samundar mein
wo le ke zulmat-e-shab ka labaada kya karta

har ek shaKHs jahan maslahat se milta ho
wahan kisi se koi istifada kya karta

na jis mein rang na KHaka na koi aks-e-jamal
bana ke aisi main taswir-e-sada kya karta

mahaz-e-jang mein wo apne farz ki KHatir
na deta jaan to aaKHir piyaada kya karta

jahan pe hota ho insaniyat ka KHun 'arif'
main aisi duniya mein rah kar ziyaada kya karta


Source: Book : نغمۂ زندگی (Pg. 83) Author : جے کرشن چودھری حبیب

Leave a comment

+