Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faiz Ahmad Faiz

  • Ghazal


chashm-e-maigun zara idhar kar de


chashm-e-maigūñ zarā idhar kar de
dast-e-qudrat ko be-asar kar de

tez hai aaj dard-e-dil saaqī
talḳhi-e-mai ko tez-tar kar de

josh-e-vahshat hai tishna-kām abhī
chāk-e-dāman ko tā jigar kar de

merī qismat se khelne vaale
mujh ko qismat se be-ḳhabar kar de

luT rahī hai mirī matā-e-niyāz
kaash vo is taraf nazar kar de

'faiz' takmīl-e-ārzū mālūm
ho sake to yūñhī basar kar de

chashm-e-maigun zara idhar kar de
dast-e-qudrat ko be-asar kar de

tez hai aaj dard-e-dil saqi
talKHi-e-mai ko tez-tar kar de

josh-e-wahshat hai tishna-kaam abhi
chaak-e-daman ko ta jigar kar de

meri qismat se khelne wale
mujh ko qismat se be-KHabar kar de

luT rahi hai meri mata-e-niyaz
kash wo is taraf nazar kar de

'faiz' takmil-e-arzu malum
ho sake to yunhi basar kar de


Pachas Sala Intekhab"

Leave a comment

+