Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tabish Dehlvi

  • Ghazal


kisi miskin ka ghar khulta hai


kisī miskīn kā ghar khultā hai
yā koī zaḳhm-e-nazar khultā hai

dekhnā hai ki tilism-e-hastī
kis se khultā hai agar khultā hai

daav par dair-o-haram donoñ haiñ
dekhiye kaun sā ghar khultā hai

phuul dekhā hai ki dekhā hai chaman
husn se husn-e-nazar khultā hai

mai-kashoñ kā ye tulūa aur ġhurūb
mai-kada shām-o-sahar khultā hai

chhoTī paḌtī hai anā kī chādar
paañv Dhaktā huuñ to sar khultā hai

band kar letā huuñ āñkheñ 'tābish'
bāb-e-nazzāra magar khultā hai

kisi miskin ka ghar khulta hai
ya koi zaKHm-e-nazar khulta hai

dekhna hai ki tilism-e-hasti
kis se khulta hai agar khulta hai

daw par dair-o-haram donon hain
dekhiye kaun sa ghar khulta hai

phul dekha hai ki dekha hai chaman
husn se husn-e-nazar khulta hai

mai-kashon ka ye tulua aur ghurub
mai-kada sham-o-sahar khulta hai

chhoTi paDti hai ana ki chadar
panw Dhakta hun to sar khulta hai

band kar leta hun aankhen 'tabish'
bab-e-nazzara magar khulta hai

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Tabish Dehlvi

Leave a comment

+