Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Karrar Noori

  • Ghazal


fan ki aur zat ki paikar ne sone na diya


fan kī aur zaat kī paikār ne sone na diyā
dil meñ jaage hue fankār ne sone na diyā

har taraf taptī huī dhuup mire saath ga.ī
zer-e-sāya kisī dīvār ne sone na diyā

ek ma.asūm sī sūrat ko kahīñ dekhā thā
phir bhī chashmān-e-gunahgār ne sone na diyā

mere ham-sā.e meñ shāyad hai koī mujh jaisā
hai jo charchā kisī bīmār ne sone na diyā

kal mire shahr meñ ik zulm kuchh aisā bhī huā
raat bhar ġhairat-e-fankār ne sone na diyā

jāgte rahne kā ārām to kyā ham ko bhī
chain se shiddat-e-afkār ne sone na diyā

kal kuchh aisī hī sar-e-bazm mirī baat girī
kisī pahlū mire pindār ne sone na diyā

ek dhaḌkā sā lagā thā ki sahar-dam kyā ho
sar pe laTkī huī talvār ne sone na diyā

fan ki aur zat ki paikar ne sone na diya
dil mein jage hue fankar ne sone na diya

har taraf tapti hui dhup mere sath gai
zer-e-saya kisi diwar ne sone na diya

ek masum si surat ko kahin dekha tha
phir bhi chashman-e-gunahgar ne sone na diya

mere ham-sae mein shayad hai koi mujh jaisa
hai jo charcha kisi bimar ne sone na diya

kal mere shahr mein ek zulm kuchh aisa bhi hua
raat bhar ghairat-e-fankar ne sone na diya

jagte rahne ka aaram to kya hum ko bhi
chain se shiddat-e-afkar ne sone na diya

kal kuchh aisi hi sar-e-bazm meri baat giri
kisi pahlu mere pindar ne sone na diya

ek dhaDka sa laga tha ki sahar-dam kya ho
sar pe laTki hui talwar ne sone na diya


Leave a comment

+