Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Fani Badayuni

  • Ghazal


har sans ke sath ja raha hun


har saañs ke saath jā rahā huuñ
maiñ tere qarīb aa rahā huuñ

ye dil meñ karāhne lagā kaun
ro ro ke kise rulā rahā huuñ

ab ishq ko be-naqāb kar ke
maiñ husn ko aazmā rahā huuñ

asrār-e-jamāl khul rahe haiñ
hastī kā surāġh pā rahā huuñ

tanhā.i-e-shām-e-ġham ke Dar se
kuchh un se javāb pā rahā huuñ

lazzat-kash-e-ārzū huuñ 'fānī'
dānista fareb khā rahā huuñ

har sans ke sath ja raha hun
main tere qarib aa raha hun

ye dil mein karahne laga kaun
ro ro ke kise rula raha hun

ab ishq ko be-naqab kar ke
main husn ko aazma raha hun

asrar-e-jamal khul rahe hain
hasti ka suragh pa raha hun

tanhai-e-sham-e-gham ke Dar se
kuchh un se jawab pa raha hun

lazzat-kash-e-arzu hun 'fani'
danista fareb kha raha hun


Leave a comment

+