Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ehsas Muradabadi

  • Ghazal


koi tufan to nahin koi talatum to nahin


koī tūfāñ to nahīñ koī talātum to nahīñ
zindagī naam hai jis kā vo kahīñ tum to nahīñ

aur kyā kahiyegā ā.īna-e-hairat ke sivā
un kī mahfil meñ mujhe izn-e-takallum to nahīñ

jis taraf dekhiye ik nūr-e-tajallī paidā
aap kī bazm meñ shāmil mah-o-anjum to nahīñ

aur kyā dil kī tabāhī pe tavajjoh detā
aap dekheñ mire hoñToñ pe tabassum to nahīñ

aa.ina dekh ke ab pyaar sā aa jaatā hai
merī sūrat se numāyāñ ye kahīñ tum to nahīñ

mausam-e-lāla-o-gul ahd-e-bahār-e-gulshan
ye kahīñ aap kā andāz-e-tabassum to nahīñ

manzileñ apnī jagah par haiñ talab apnī jagah
jā hī pahuñchegā ki 'ehsās' abhī gum to nahīñ

koi tufan to nahin koi talatum to nahin
zindagi nam hai jis ka wo kahin tum to nahin

aur kya kahiyega aaina-e-hairat ke siwa
un ki mahfil mein mujhe izn-e-takallum to nahin

jis taraf dekhiye ek nur-e-tajalli paida
aap ki bazm mein shamil mah-o-anjum to nahin

aur kya dil ki tabahi pe tawajjoh deta
aap dekhen mere honTon pe tabassum to nahin

aaina dekh ke ab pyar sa aa jata hai
meri surat se numayan ye kahin tum to nahin

mausam-e-lala-o-gul ahd-e-bahaar-e-gulshan
ye kahin aap ka andaz-e-tabassum to nahin

manzilen apni jagah par hain talab apni jagah
ja hi pahunchega ki 'ehsas' abhi gum to nahin


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+