kuchh dahshat har baar ḳharīdā
jab ham ne aḳhbār ḳharīdā
sach pe sau sau parde Daale
sapnā ik bīmār ḳharīdā
us ke bhītar bhī jañgal thā
kal jis ne ghar-bār ḳharīdā
ek musht meñ dil de aayā
TukḌā TukḌā pyaar ḳharīdā
bholī sī muskān kī ḳhātir
kitnā kuchh be-kār ḳharīdā
ham be-mol luTā dete haiñ
tum ne jo har baar ḳharīdā
pyaar se bhī ham mar jaate haiñ
aap ne kyuuñ hathiyār ḳharīdā
kuchh dahshat har bar KHarida
jab hum ne aKHbar KHarida
sach pe sau sau parde Dale
sapna ek bimar KHarida
us ke bhitar bhi jangal tha
kal jis ne ghar-bar KHarida
ek musht mein dil de aaya
TukDa TukDa pyar KHarida
bholi si muskan ki KHatir
kitna kuchh be-kar KHarida
hum be-mol luTa dete hain
tum ne jo har bar KHarida
pyar se bhi hum mar jate hain
aap ne kyun hathiyar KHarida
Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)
Leave a comment