Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Fareed Javed

  • Ghazal


talKH guzre ki shadman guzre


talḳh guzre ki shādmāñ guzre
zindagī ho to kyuuñ garāñ guzre

thā jahāñ muddatoñ se sannāTā
ham vahāñ se bhī naġhma-ḳhvāñ guzre

marhale saḳht the magar ham log
sūrat-e-mauj-e-ravāñ guzre

mere hī dil kī dhaḌkaneñ hoñgī
tum mire paas se kahāñ guzre

kyuuñ na Dhal jaa.e mere naġhmoñ meñ
kyuuñ tirā husn rā.egāñ guzre

chand lamhe ḳhayāl-o-ḳhvāb sahī
chand lamhe anīs-e-jāñ guzre

kitne ḳhāmosh hādse 'jāved'
dil hī dil meñ nihāñ nihāñ guzre

talKH guzre ki shadman guzre
zindagi ho to kyun garan guzre

tha jahan muddaton se sannaTa
hum wahan se bhi naghma-KHwan guzre

marhale saKHt the magar hum log
surat-e-mauj-e-rawan guzre

mere hi dil ki dhaDkanen hongi
tum mere pas se kahan guzre

kyun na Dhal jae mere naghmon mein
kyun tera husn raegan guzre

chand lamhe KHayal-o-KHwab sahi
chand lamhe anis-e-jaan guzre

kitne KHamosh hadse 'jawed'
dil hi dil mein nihan nihan guzre


Source: Deewan-e-Waleeullah Muhib

Leave a comment

+