Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Vineet Aashna

  • Ghazal


umr-bhar uski nishani dekhiye


umr-bhar us kī nishānī dekhiye
ishq kar yuuñ jāvedānī dekhiye

yaad kiije vo parī-chehra sadā
aur har sū rāt-rānī dekhiye

hijr ke mausam meñ bhī gulzār huuñ
ye ġhazab kī bāġhbānī dekhiye

dhaḌkaneñ tasbīh us ke naam kī
dil pe us kī hukmarānī dekhiye

dard mehmāñ hai magar jaatā nahīñ
aap merī mezbānī dekhiye

aap haiñ jo ishq ke ahl-e-zabāñ
merī bhī kar tarjumānī dekhiye

bebasī bechainiyāñ betābiyāñ
'āshnā' ke sab ma.ānī dekhe

umr-bhar us ki nishani dekhiye
ishq kar yun jawedani dekhiye

yaad kije wo pari-chehra sada
aur har su raat-rani dekhiye

hijr ke mausam mein bhi gulzar hun
ye ghazab ki baghbani dekhiye

dhaDkanen tasbih us ke nam ki
dil pe us ki hukmarani dekhiye

dard mehman hai magar jata nahin
aap meri mezbani dekhiye

aap hain jo ishq ke ahl-e-zaban
meri bhi kar tarjumani dekhiye

bebasi bechainiyan betabiyan
'ashna' ke sab maani dekhe


Leave a comment

+