Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Abbas Dana

  • Ghazal


ye baat sach hai ki tera makan uncha hai


ye baat sach hai ki terā makān ūñchā hai
tū ye na soch tirā ḳhāndān ūñchā hai

kamāl kuchh bhī nahīñ aur shohratoñ kī talab
sambhal ke tiir chalānā nishān ūñchā hai

kahīñ azaab na ban jaa.e us kā saaya bhī
sutūn TuuTe hue sā.ebān ūñchā hai

mujhe yaqīn hai tū shart haar jā.egā
ki dastaras se tirī āsmān ūñchā hai

vo qātiloñ ko chhuḌā lā.egā adālat se
hai us kī baat mudallal bayān ūñchā hai

qubūl kartā nahīñ ye diloñ ke rishtoñ ko
samāj tere mire darmiyān ūñchā hai

isī ġhurūr meñ 'dānā' saroñ se chhat bhī ga.ī
tire makān se merā makān ūñchā hai

ye baat sach hai ki tera makan uncha hai
tu ye na soch tera KHandan uncha hai

kamal kuchh bhi nahin aur shohraton ki talab
sambhal ke tir chalana nishan uncha hai

kahin azab na ban jae us ka saya bhi
sutun TuTe hue saeban uncha hai

mujhe yaqin hai tu shart haar jaega
ki dastaras se teri aasman uncha hai

wo qatilon ko chhuDa laega adalat se
hai us ki baat mudallal bayan uncha hai

qubul karta nahin ye dilon ke rishton ko
samaj tere mere darmiyan uncha hai

isi ghurur mein 'dana' saron se chhat bhi gai
tere makan se mera makan uncha hai


Leave a comment

+