Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Maaham Shah

  • Ghazal


gham-e-jaanan gham-e-dauran bahut hain gham zamane mein


ġham-e-jānāñ ġham-e-daurāñ bahut haiñ ġham zamāne meñ
magar jo ġham ko apnā.e bahut haiñ kam zamāne meñ

ḳhud hī apnā patā rakkho ḳhud hī apnī ḳhabar rakkho
sabhī maddham sabhī bātin sabhī mub.ham zamāne meñ

maiñ kis ko kyā kahūñ ma.asūm haiñ saare ba-zāhir to
badal jaatā hai lekin daf.atan mausam zamāne meñ

karo va.ada ki tum aaoge is mahfil ko jaañ dene
sajā.eñge kabhī jo dil kī mahfil ham zamāne meñ

gham-e-jaanan gham-e-dauran bahut hain gham zamane mein
magar jo gham ko apnae bahut hain kam zamane mein

KHud hi apna pata rakkho KHud hi apni KHabar rakkho
sabhi maddham sabhi baatin sabhi mubham zamane mein

main kis ko kya kahun masum hain sare ba-zahir to
badal jata hai lekin dafatan mausam zamane mein

karo wada ki tum aaoge is mahfil ko jaan dene
sajaenge kabhi jo dil ki mahfil hum zamane mein


Source: Saat Suron Ki Mithi Halchal

Leave a comment

+