Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nadeem Fazli

  • Ghazal


mushkilen Khaal Khaal chahte hain


mushkileñ ḳhaal ḳhaal chāhte haiñ
shauq meñ e'tidāl chāhte haiñ

kaT ke apnī jaḌoñ se kuchh paude
sabz mausam kī shaal chāhte haiñ

kam se kam ḳhud se to haiñ muḳhlis vo
jo hameñ hasb-e-hāl chāhte haiñ

laakh jiinā harām ho ham par
ham to rizq-e-halāl chāhte haiñ

kyā kamī aa ga.ī hai chāhat meñ
zaḳhm kyuuñ indimāl chāhte haiñ

aañkh pathrā ga.ī hai ro ro kar
ashk apnā nikāl chāhte haiñ

chand lamhāt surḳh-rūī ke
kitne hī māh-o-sāl chāhte haiñ

ghar ke jalve 'nadīm' kam to nahīñ
ik zarā dekh-bhāl chāhte haiñ

mushkilen KHal KHal chahte hain
shauq mein e'tidal chahte hain

kaT ke apni jaDon se kuchh paude
sabz mausam ki shaal chahte hain

kam se kam KHud se to hain muKHlis wo
jo hamein hasb-e-haal chahte hain

lakh jina haram ho hum par
hum to rizq-e-halal chahte hain

kya kami aa gai hai chahat mein
zaKHm kyun indimal chahte hain

aankh pathra gai hai ro ro kar
ashk apna nikal chahte hain

chand lamhat surKH-rui ke
kitne hi mah-o-sal chahte hain

ghar ke jalwe 'nadim' kam to nahin
ek zara dekh-bhaal chahte hain


Leave a comment

+