pher letā hai mukaddar ho ke muñh jis se kaheñ
haa.e jo jī par guzartī hai vo ham kis se kaheñ
māne-e-arz-e-tamannā kyuuñ na ho rashk-e-raqīb
un se ham kahne na paa.eñ un ke monis se kaheñ
'nādir' is mahfil meñ haiñ vo naam ke sadr-anjuman
aap ko kahnā ho jo kuchh ahl-e-majlis se kaheñ
pher leta hai mukaddar ho ke munh jis se kahen
hae jo ji par guzarti hai wo hum kis se kahen
mane-e-arz-e-tamanna kyun na ho rashk-e-raqib
un se hum kahne na paen un ke monis se kahen
'nadir' is mahfil mein hain wo nam ke sadr-anjuman
aap ko kahna ho jo kuchh ahl-e-majlis se kahen
Source: Dewan-e-Markaz
Leave a comment