Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yaqoob Aamir

  • Ghazal


aatish-e-gham mein bhabhuka dida-e-namnak tha


ātish-e-ġham meñ bhabhūkā dīda-e-namnāk thā
āñsuoñ meñ jo zabāñ par harf thā bebāk thā

chain hī kab lene detā thā kisī kā ġham hameñ
ye na dekhā umr bhar apnā bhī dāman chaak thā

ham shikasta-dil na bahra-mand duniyā se hue
varna is ālūdgī se kis kā dāman paak thā

jauhar-e-fan merā ḳhud merī nazar se gir gayā
harf-e-dil par bhī zamāna kis qadar saffāk thā

raat kī lāshoñ kā kuuḌā sub.h-dam pheñkā gayā
kyā hamāre daur kā insāñ ḳhas-o-ḳhāshāk thā

kitnā ḳhush hotā thā pahle āsmāñ ye dekh kar
jo tamāsha thā jahāñ meñ vo tah-e-aflāk thā

merā dushman jab huā raazī to hairānī huī
mere aage aur bhī ik rū-e-haibatnāk thā

kitnī bāteñ thiiñ hamāre zehn kā hissa magar
tajrabe ke baad un kā aur hī idrāk thā

ḳhū-e-insāñ ko azal se hī ye duniyā tañg hai
jo varaq tārīḳh kā dekhā vo ibratnāk thā

ham jo aa baiThe kabhī to tan meñ kāñTe hī chubhe
sāya-e-gul bhī hameñ kitnā azīyat-nāk thā

jalva-e-fitrat numāyāñ hai libās-e-rañg meñ
husn har tahzīb meñ minnat-kash-e-poshāk thā

sar ke nīche iiñT rakh kar umr bhar soyā hai tū
āḳhirī bistar bhī 'āmir' terā farsh-e-ḳhāk thā

aatish-e-gham mein bhabhuka dida-e-namnak tha
aansuon mein jo zaban par harf tha bebak tha

chain hi kab lene deta tha kisi ka gham hamein
ye na dekha umr bhar apna bhi daman chaak tha

hum shikasta-dil na bahra-mand duniya se hue
warna is aaludgi se kis ka daman pak tha

jauhar-e-fan mera KHud meri nazar se gir gaya
harf-e-dil par bhi zamana kis qadar saffak tha

raat ki lashon ka kuDa subh-dam phenka gaya
kya hamare daur ka insan KHas-o-KHashak tha

kitna KHush hota tha pahle aasman ye dekh kar
jo tamasha tha jahan mein wo tah-e-aflak tha

mera dushman jab hua raazi to hairani hui
mere aage aur bhi ek ru-e-haibatnak tha

kitni baaten thin hamare zehn ka hissa magar
tajrabe ke baad un ka aur hi idrak tha

KHu-e-insan ko azal se hi ye duniya tang hai
jo waraq tariKH ka dekha wo ibratnak tha

hum jo aa baiThe kabhi to tan mein kanTe hi chubhe
saya-e-gul bhi hamein kitna aziyat-nak tha

jalwa-e-fitrat numayan hai libas-e-rang mein
husn har tahzib mein minnat-kash-e-poshak tha

sar ke niche inT rakh kar umr bhar soya hai tu
aaKHiri bistar bhi 'amir' tera farsh-e-KHak tha


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+