Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yunus Tahseen

  • Ghazal


gham ki tartib saliqe se laga sakta tha


ġham kī tartīb salīqe se lagā saktā thā
ya.anī maiñ roz tirā hijr manā saktā thā

sabr ne chīḳh gale se nahīñ aage bhejī
varna dīvāna bahut shor machā saktā thā

ġhairat-e-ishq ne patthar kā banāyā mujh ko
varna maiñ ḳhaak vahāñ uḌ ke bhī jā saktā thā

tañgī-e-dāman-e-sad-chāk tirā kyā ronā
maiñ numā.ish meñ faqat zaḳhm dikhā saktā thā

terī nafrat se agar thoḌī sī fursat miltī
maiñ mohabbat meñ bahut naam kamā saktā thā

aap be-kār samajh kar jise chhoḌ aa.e haiñ
ik vahī shaḳhs mirī jaan bachā saktā thā

us kī ma.asūm tabī.at kī hayā ne rokā
varna maiñ us ko baḌe ḳhvāb dikhā saktā thā

ye to us chehra-e-pur-nūr kā jaadū samjho
varna darvesh kahāñ jaal meñ aa saktā thā

yūñhī zahmat se akele mujhe barbād kiyā
zindagānī maiñ tirā haath baTā saktā thā

tum hī 'tahsīn' mirī qadr nahīñ kar paa.e
maiñ to vo thā jo gayā vaqt bhī lā saktā thā

gham ki tartib saliqe se laga sakta tha
yani main roz tera hijr mana sakta tha

sabr ne chiKH gale se nahin aage bheji
warna diwana bahut shor macha sakta tha

ghairat-e-ishq ne patthar ka banaya mujh ko
warna main KHak wahan uD ke bhi ja sakta tha

tangi-e-daman-e-sad-chaak tera kya rona
main numaish mein faqat zaKHm dikha sakta tha

teri nafrat se agar thoDi si fursat milti
main mohabbat mein bahut nam kama sakta tha

aap be-kar samajh kar jise chhoD aae hain
ek wahi shaKHs meri jaan bacha sakta tha

us ki masum tabiat ki haya ne roka
warna main us ko baDe KHwab dikha sakta tha

ye to us chehra-e-pur-nur ka jadu samjho
warna darwesh kahan jal mein aa sakta tha

yunhi zahmat se akele mujhe barbaad kiya
zindagani main tera hath baTa sakta tha

tum hi 'tahsin' meri qadr nahin kar pae
main to wo tha jo gaya waqt bhi la sakta tha


Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)

Leave a comment

+