Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Balraj Hayat

  • Ghazal


dil ke hathon KHarab ho jaana


dil ke hāthoñ ḳharāb ho jaanā
zindagī kāmyāb ho jaanā

mujh se kab aise mo.ajize hoñge
ḳhud hī izzat-ma.āb ho jaanā

aaj gul ban le zaḳhm-e-tanhā.ī
phir kabhī āftāb ho jaanā

maiñ ne taskīn-e-karb māñgī hai
ai duā mustajāb ho jaanā

jab kisī imtihāñ se ḳhauf lage
tum mire ham-rikāb ho jaanā

ḳhvāb ko sach meñ Dhālne kī lagan
dekhiyo ḳhud na ḳhvāb ho jaanā

dil ke hathon KHarab ho jaana
zindagi kaamyab ho jaana

mujh se kab aise moajize honge
KHud hi izzat-maab ho jaana

aaj gul ban le zaKHm-e-tanhai
phir kabhi aaftab ho jaana

main ne taskin-e-karb mangi hai
ai dua mustajab ho jaana

jab kisi imtihan se KHauf lage
tum mere ham-rikab ho jaana

KHwab ko sach mein Dhaalne ki lagan
dekhiyo KHud na KHwab ho jaana


Leave a comment

+