Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faez Dehlvi

  • Ghazal


jagir agar bahut na mili hum kun gham nahin


jāgīr agar bahut na milī ham kuuñ ġham nahīñ
hāsil hamāre mulk-e-qanā.at kā kam nahīñ

is saath mah-ruḳhāñ ko nahīñ kuchh barābarī
yūsuf se ye nigār-e-parī-zād kam nahīñ

ḳhush-sūratāñ se kyā karūñ maiñ āshnā.ī ab
mujh ko to in dinoñ meñ mayassar diram nahīñ

dil bāñdhte nahīñ haiñ hamāre milāp par
mah-tal.atāñ meñ mujh ko to ab kuchh bharam nahīñ

milte ho sab ke jā ke ghar aur ham suuñ ho kanār
kuchh ham to un chakoroñ se ai maah kam nahīñ

zāhir ke dost aate nahīñ kaam vaqt par
talvār kaaT kyā kare jis ko jo dam nahīñ

'fā.ez' ko bhāyā misra-e-'yakrañg' ai sajan
gar tum miloge un setī dekhoge ham nahīñ

jagir agar bahut na mili hum kun gham nahin
hasil hamare mulk-e-qanaat ka kam nahin

is sath mah-ruKHan ko nahin kuchh barabari
yusuf se ye nigar-e-pari-zad kam nahin

KHush-suratan se kya karun main aashnai ab
mujh ko to in dinon mein mayassar diram nahin

dil bandhte nahin hain hamare milap par
mah-talatan mein mujh ko to ab kuchh bharam nahin

milte ho sab ke ja ke ghar aur hum sun ho kanar
kuchh hum to un chakoron se ai mah kam nahin

zahir ke dost aate nahin kaam waqt par
talwar kaT kya kare jis ko jo dam nahin

'faez' ko bhaya misra-e-'yakrang' ai sajan
gar tum miloge un seti dekhoge hum nahin


Source: Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 249) Publication : Raghu Nath suhai ummid

Leave a comment

+