Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nadeem Farrukh

  • Ghazal


hathon ko kashkol banae baiThe hain


hāthoñ ko kashkol banā.e baiThe haiñ
bhūke bachche ġhol banā.e baiThe haiñ

aap hasīñ pyāle se dhoka mat khānā
vo zahrīlā ghol banā.e baiThe haiñ

vo sho.aloñ kī bārish karne vaalā hai
ham kāġhaz ke ḳhol banā.e baiThe haiñ

us kī koshish bikne par majbūr hoñ ham
ham ḳhud ko anmol banā.e baiThe haiñ

dushman āḳhir dastāroñ tak aa pahuñchā
ham rishtoñ meñ jhol banā.e baiThe haiñ

hathon ko kashkol banae baiThe hain
bhuke bachche ghol banae baiThe hain

aap hasin pyale se dhoka mat khana
wo zahrila ghol banae baiThe hain

wo shoalon ki barish karne wala hai
hum kaghaz ke KHol banae baiThe hain

us ki koshish bikne par majbur hon hum
hum KHud ko anmol banae baiThe hain

dushman aaKHir dastaron tak aa pahuncha
hum rishton mein jhol banae baiThe hain


Source: Book : Loban (Pg. 4) Author : Nadeem Farrukh

Leave a comment

+