kisī kī be-ruḳhī kā ġham nahīñ hai
ki itnā rabt bhī ab kam nahīñ hai
na hoshyārī na ġhaflat aur na mastī
hamārā ab koī aalam nahīñ hai
rag-e-jāñ se bhī vo nazdīk-tar haiñ
magar ye fāsla bhī kam nahīñ hai
yahāñ kyā zikr sharm o aabrū kā
ye daur-e-azmat-e-maryam nahīñ hai
fuġhāñ ik mashġhala hai āshiqoñ kā
ye aadat bar-binā-e-ġham nahīñ hai
farishtoñ kī ye shān-e-be-gunāhī
javāb-e-laġhzish-e-ādam nahīñ hai
kisi ki be-ruKHi ka gham nahin hai
ki itna rabt bhi ab kam nahin hai
na hoshyari na ghaflat aur na masti
hamara ab koi aalam nahin hai
rag-e-jaan se bhi wo nazdik-tar hain
magar ye fasla bhi kam nahin hai
yahan kya zikr sharm o aabru ka
ye daur-e-azmat-e-maryam nahin hai
fughan ek mashghala hai aashiqon ka
ye aadat bar-bina-e-gham nahin hai
farishton ki ye shan-e-be-gunahi
jawab-e-laghzish-e-adam nahin hai
RECITATIONS
Nomaan Shauque
00:00/00:00
kisi ki be-ruKHi ka gham nahin hai
Nomaan Shauque
Leave a comment