Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aagha Akbarabadi

  • Ghazal


aankhon pe wo zulf aa rahi hai


āñkhoñ pe vo zulf aa rahī hai
kaalī jaadū jagā rahī hai

zanjīr jo khaḌkhaḌā rahī hai
vahshat kyā ġhul machā rahī hai

lailā ḳhāka uḌā rahī hai
majnūñ ko havā batā rahī hai

zulfeñ vo parī hilā rahī hai
dīvānoñ kī shāmat aa rahī hai

pāmāl-e-ḳhirām ho chuke dafn
pisne ko bas ab hinā rahī hai

haiñ chaal se un kī zinda dargor
murdoñ pe qayāmat aa rahī hai

dil ne ulfat se zak uThā.ī
āñkhoñ dekhā rulā rahī hai

goyā hone de be-zabānī
kyuuñ merā galā dabā rahī hai

'āġhā' sāhab galī meñ un kī
ik huur tumheñ bulā rahī hai

aankhon pe wo zulf aa rahi hai
kali jadu jaga rahi hai

zanjir jo khaDkhaDa rahi hai
wahshat kya ghul macha rahi hai

laila KHaka uDa rahi hai
majnun ko hawa bata rahi hai

zulfen wo pari hila rahi hai
diwanon ki shamat aa rahi hai

pamal-e-KHiram ho chuke dafn
pisne ko bas ab hina rahi hai

hain chaal se un ki zinda dargor
murdon pe qayamat aa rahi hai

dil ne ulfat se zak uThai
aankhon dekha rula rahi hai

goya hone de be-zabani
kyun mera gala daba rahi hai

'agha' sahab gali mein un ki
ek hur tumhein bula rahi hai


Leave a comment

+