Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Fakhr Abbas

  • Ghazal


resham zulf ke tar bhi baaten karte hain


resham zulf ke taar bhī bāteñ karte haiñ
us ke to ruḳhsār bhī bāteñ karte haiñ

itnā vaqt maiñ detā huuñ us laḌkī ko
ab to mere yaar bhī bāteñ karte haiñ

sau afsāne ban jaate haiñ donoñ ke
ham donoñ do chaar bhī bāteñ karte haiñ

har ik sher nahīñ ho saktā achchhā sher
shā.ir kuchh be-kār bhī bāteñ karte haiñ

itne zaḳhm dikhātā huuñ maiñ aa.e din
mujh ko to ġham-ḳhvār bhī bāteñ karte haiñ

resham zulf ke tar bhi baaten karte hain
us ke to ruKHsar bhi baaten karte hain

itna waqt main deta hun us laDki ko
ab to mere yar bhi baaten karte hain

sau afsane ban jate hain donon ke
hum donon do chaar bhi baaten karte hain

har ek sher nahin ho sakta achchha sher
shair kuchh be-kar bhi baaten karte hain

itne zaKHm dikhata hun main aae din
mujh ko to gham-KHwar bhi baaten karte hain


Leave a comment

+