ik havelī huuñ us kā dar bhī huuñ
ḳhud hī āñgan ḳhud hī shajar bhī huuñ
apnī mastī meñ bahtā dariyā huuñ
maiñ kināra bhī huuñ bhañvar bhī huuñ
āsmāñ aur zamīñ kī vus.at dekh
maiñ idhar bhī huuñ aur udhar bhī huuñ
ḳhud hī maiñ ḳhud ko likh rahā huuñ ḳhat
aur maiñ apnā nāma-bar bhī huuñ
dāstāñ huuñ maiñ ik tavīl magar
tū jo sun le to muḳhtasar bhī huuñ
ek phaldār peḌ huuñ lekin
vaqt aane pe be-samar bhī huuñ
ek haweli hun us ka dar bhi hun
KHud hi aangan KHud hi shajar bhi hun
apni masti mein bahta dariya hun
main kinara bhi hun bhanwar bhi hun
aasman aur zamin ki wusat dekh
main idhar bhi hun aur udhar bhi hun
KHud hi main KHud ko likh raha hun KHat
aur main apna nama-bar bhi hun
dastan hun main ek tawil magar
tu jo sun le to muKHtasar bhi hun
ek phaldar peD hun lekin
waqt aane pe be-samar bhi hun
Source: Book : نغمۂ زندگی (Pg. 25) Author : جے کرشن چودھری حبیب Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Leave a comment