Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yusuf Jamal

  • Ghazal


socha ki wa ho sabz daricha jo band tha


sochā ki vā ho sabz darīcha jo band thā
pīlāhaToñ kā chehra bahut fikrmand thā

har saañs thūktī thī lahū zard rañg kā
har shaḳhs us galī kā aziyyat-pasand thā

mīThe tabassumoñ ko liye sab se baat kī
ḳhud se kiyā kalām to lab zahr-qand thā

baunā thā vo zarūr magar is ke bāvajūd
kirdār ke lihāz se qad kā buland thā

maiñ ne fasīl-e-shab ko muqaddar nahīñ kiyā
tīra-shabī meñ ghir ke bhī dil arjumand thā

socha ki wa ho sabz daricha jo band tha
pilahaTon ka chehra bahut fikrmand tha

har sans thukti thi lahu zard rang ka
har shaKHs us gali ka aziyyat-pasand tha

miThe tabassumon ko liye sab se baat ki
KHud se kiya kalam to lab zahr-qand tha

bauna tha wo zarur magar is ke bawajud
kirdar ke lihaz se qad ka buland tha

main ne fasil-e-shab ko muqaddar nahin kiya
tira-shabi mein ghir ke bhi dil arjumand tha


Leave a comment

+