Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Fani Badayuni

  • Ghazal


ai maut tujh pe umr-e-abad ka madar hai


ai maut tujh pe umr-e-abad kā madār hai
tū e'tibār-e-hasti-e-be-e'tibār hai

ahd-e-azal pe zindagiyoñ kā madār hai
aalam tamām ġham-kada-e-e'tibār hai

zarrāt-e-chashm-e-shauq haiñ āmāda-e-nigāh
mahrūmiyoñ ko ab bhī tirā intizār hai

bedād kā gila to karūñ aur jo vo kaheñ
ye kahiye imtihān-e-vafā nāgavār hai

ik ye vafā ki nañg-e-ġham-e-dost hai hunūz
ik vo sitam ki husn kā ā.īna-dār hai

tamīz-e-husn-o-ishq na irfān-e-ġham magar
ik tīr-e-be-panāh kaleje ke paar hai

muḳhtār huuñ ki mo'tarif-e-jabr-e-dost huuñ
majbūr huuñ ki ye bhī koī iḳhtiyār hai

ab kis ko e'tibār ki tū bevafā nahīñ
ab kis ko intizār magar intizār hai

baaqī nahīñ kisī ko nashāt-e-junūñ kā hosh
kis josh par shabāb-e-ġham-e-rozgār hai

ādāb-e-āshiqī kā taqāzā hai aur baat
tū varna dil kī aaḌ meñ ḳhud be-qarār hai

hogī kisī ko fursat-e-nazzāra-e-jamāl
'fānī' ḳharāb-e-husn tamāshā-e-yār hai

ai maut tujh pe umr-e-abad ka madar hai
tu e'tibar-e-hasti-e-be-e'tibar hai

ahd-e-azal pe zindagiyon ka madar hai
aalam tamam gham-kada-e-e'tibar hai

zarraat-e-chashm-e-shauq hain aamada-e-nigah
mahrumiyon ko ab bhi tera intizar hai

bedad ka gila to karun aur jo wo kahen
ye kahiye imtihan-e-wafa nagawar hai

ek ye wafa ki nang-e-gham-e-dost hai hunuz
ek wo sitam ki husn ka aaina-dar hai

tamiz-e-husn-o-ishq na irfan-e-gham magar
ek tir-e-be-panah kaleje ke par hai

muKHtar hun ki mo'tarif-e-jabr-e-dost hun
majbur hun ki ye bhi koi iKHtiyar hai

ab kis ko e'tibar ki tu bewafa nahin
ab kis ko intizar magar intizar hai

baqi nahin kisi ko nashat-e-junun ka hosh
kis josh par shabab-e-gham-e-rozgar hai

aadab-e-ashiqi ka taqaza hai aur baat
tu warna dil ki aaD mein KHud be-qarar hai

hogi kisi ko fursat-e-nazzara-e-jamal
'fani' KHarab-e-husn tamasha-e-yar hai


Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)

Leave a comment

+