Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Lutf-ur-rahman

  • Ghazal


main dur ho ke bhi us se kabhi juda na hua


maiñ duur ho ke bhī us se kabhī judā na huā
ki us ke ba.ad kisī kā bhī āshnā na huā

tamām umr mirā mujh se iḳhtilāf rahā
gila na kar jo kabhī terā ham-navā na huā

vo jaate jaate dilāse bhī de gayā kyā kyā
ye aur baat ki phir us se rābta na huā

hazār shukr salāmat hai merā sar ab bhī
hazār dushman-e-jāñ se bhī dostāna huā

zarā sī choT pe jhankār guuñj uThtī hai
ki saaz TuuT gayā phir bhī be-sadā na huā

kuchh itnā sahl nahīñ thā zamīr kā saudā
balā se maiñ kabhī ahl-e-qabā huā na huā

ajab hai yādoñ kī bahtī huī ye ḳhushk nadī
lahū ko aañkh se Tapke hue zamāna huā

main dur ho ke bhi us se kabhi juda na hua
ki us ke baad kisi ka bhi aashna na hua

tamam umr mera mujh se iKHtilaf raha
gila na kar jo kabhi tera ham-nawa na hua

wo jate jate dilase bhi de gaya kya kya
ye aur baat ki phir us se rabta na hua

hazar shukr salamat hai mera sar ab bhi
hazar dushman-e-jaan se bhi dostana hua

zara si choT pe jhankar gunj uThti hai
ki saz TuT gaya phir bhi be-sada na hua

kuchh itna sahl nahin tha zamir ka sauda
bala se main kabhi ahl-e-qaba hua na hua

ajab hai yaadon ki bahti hui ye KHushk nadi
lahu ko aankh se Tapke hue zamana hua


Leave a comment

+