mohabbat lāzmī hai māntā huuñ
magar ham-zād ab maiñ thak gayā huuñ
tumhārā hijr kāñdhe par rakhā hai
na jaane kis jagah maiñ jā rahā huuñ
mirī pahlī kamā.ī hai mohabbat
mohabbat jo tumheñ maiñ de chukā huuñ
mire chāroñ taraf ik shor sā hai
magar phir bhī yahāñ tanhā khaḌā huuñ
koī to ho jo mere dard bāñTe
musalsal hijr kā maarā huā huuñ
mohabbat, hijr, nafrat mil chukī hai
maiñ taqrīban mukammal ho chukā huuñ
mohabbat lazmi hai manta hun
magar ham-zad ab main thak gaya hun
tumhaara hijr kandhe par rakha hai
na jaane kis jagah main ja raha hun
meri pahli kamai hai mohabbat
mohabbat jo tumhein main de chuka hun
mere chaaron taraf ek shor sa hai
magar phir bhi yahan tanha khaDa hun
koi to ho jo mere dard banTe
musalsal hijr ka mara hua hun
mohabbat, hijr, nafrat mil chuki hai
main taqriban mukammal ho chuka hun
Leave a comment