Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Charkh Chinioti

  • Ghazal


qarar kho ke chale be-qarar ho ke chale


qarār kho ke chale be-qarār ho ke chale
adā adā pe tirī ham nisār ho ke chale

rah-e-vafā meñ raqābat ke moḌ bhī haiñ bahut
ye dil se kah do zarā hoshiyār ho ke chale

kisī ke kahne pe tūfāñ meñ Daal dī kashtī
ḳhudā kare ki havā sāzgār ho ke chale

hameñ to naaz hai apne hasīñ gunāhoñ par
vo log aur the jo sharmsār ho ke chale

tumhārī ambarīñ zulfoñ ko chhū ke aa.ī hai
havā kī mauj na kyuuñ mushk-bār ho ke chale

vo jīte-jī to na aa.e mizāj-pursī ko
janāza dekhā to saath ashk-bār ho ke chale

nazar ne mil ke nazar se milā diyā ham ko
ye rabt-e-bāhamī ab ustuvār ho ke chale

vo arz-e-vasl pe ḳhāmosh ho ke baiTh ga.e
na aar ho ke chale vo na paar ho ke chale

azal se 'charḳh'-e-tabī.at shagufta hai apnī
jo milne aa.e vo bāġh-o-bahār ho ke chale

qarar kho ke chale be-qarar ho ke chale
ada ada pe teri hum nisar ho ke chale

rah-e-wafa mein raqabat ke moD bhi hain bahut
ye dil se kah do zara hoshiyar ho ke chale

kisi ke kahne pe tufan mein Dal di kashti
KHuda kare ki hawa sazgar ho ke chale

hamein to naz hai apne hasin gunahon par
wo log aur the jo sharmsar ho ke chale

tumhaari ambarin zulfon ko chhu ke aai hai
hawa ki mauj na kyun mushk-bar ho ke chale

wo jite-ji to na aae mizaj-pursi ko
janaza dekha to sath ashk-bar ho ke chale

nazar ne mil ke nazar se mila diya hum ko
ye rabt-e-bahami ab ustuwar ho ke chale

wo arz-e-wasl pe KHamosh ho ke baiTh gae
na aar ho ke chale wo na par ho ke chale

azal se 'charKH'-e-tabiat shagufta hai apni
jo milne aae wo bagh-o-bahaar ho ke chale


Leave a comment

+