phir to is be-nām safar meñ kuchh bhī na apne paas rahā
terī samt chalā huuñ jab tak samtoñ kā ehsās rahā
terī galī meñ TuuT ga.e sab jurm-o-sazā ke paimāne
ek tabassum dekhne vaalā saarī umr udaas rahā
gulchīñ ke chehre kī rañgat roz badaltī rahtī thī
rañj-o-ḳhushī ke har mausam meñ phuul kā ek libās rahā
jin kī dard-bharī bātoñ se ek zamāna raam huā
'qāsir' aise fan-kāroñ kī qismat meñ ban-bās rahā
phir to is be-nam safar mein kuchh bhi na apne pas raha
teri samt chala hun jab tak samton ka ehsas raha
teri gali mein TuT gae sab jurm-o-saza ke paimane
ek tabassum dekhne wala sari umr udas raha
gulchin ke chehre ki rangat roz badalti rahti thi
ranj-o-KHushi ke har mausam mein phul ka ek libas raha
jin ki dard-bhari baaton se ek zamana ram hua
'qasir' aise fan-karon ki qismat mein ban-bas raha
Leave a comment