dil ko jis chiiz kī hasrat hai hamīñ jānte haiñ
vo koī chāñd sī sūrat hai hamīñ jānte haiñ
hameñ kis shaḳhs kī aadat hai tumhī jānte ho
tumheñ kis shaḳhs kī aadat hai hamīñ jānte haiñ
terā hañsnā to qayāmat hai hameñ hai ma.alūm
terā ronā bhī musībat hai hamīñ jānte haiñ
yuuñ to da.avā hai mohabbat kā tumheñ ham se magar
tumheñ jis jis se mohabbat hai hamīñ jānte haiñ
yuuñ to āsān sā rasta hai tumhāre ghar kā
tere milne meñ jo mehnat hai hamīñ jānte haiñ
ġham-e-daurāñ se to begāna hue haiñ 'dānish'
tere ġham kī jo ināyat hai hamīñ jānte haiñ
dil ko jis chiz ki hasrat hai hamin jaante hain
wo koi chand si surat hai hamin jaante hain
hamein kis shaKHs ki aadat hai tumhi jaante ho
tumhein kis shaKHs ki aadat hai hamin jaante hain
tera hansna to qayamat hai hamein hai malum
tera rona bhi musibat hai hamin jaante hain
yun to dawa hai mohabbat ka tumhein hum se magar
tumhein jis jis se mohabbat hai hamin jaante hain
yun to aasan sa rasta hai tumhaare ghar ka
tere milne mein jo mehnat hai hamin jaante hain
gham-e-dauran se to begana hue hain 'danish'
tere gham ki jo inayat hai hamin jaante hain
Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab
Leave a comment