Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nadeem Bhabha

  • Ghazal


ajib hun ki mohabbat shanas ho kar bhi


ajiib huuñ ki mohabbat shanās ho kar bhī
udaas lagtā nahīñ huuñ udaas ho kar bhī

ḳhudā kī tarah koī aadmī bhī hai shāyad
nazar jo aatā nahīñ ās-pās ho kar bhī

numū kī raushnī le kar ugā huuñ sahrā meñ
maiñ sabz ho nahīñ saktā huuñ ghaas ho kar bhī

vajūd vahm banā miT gayā magar phir bhī
tumhāre paas nahīñ huuñ qayās ho kar bhī

ye aadmī pe hukūmat tumheñ mubārak ho
faqīr kaise chhupe ḳhush-libās ho kar bhī

ajib hun ki mohabbat shanas ho kar bhi
udas lagta nahin hun udas ho kar bhi

KHuda ki tarah koi aadmi bhi hai shayad
nazar jo aata nahin aas-pas ho kar bhi

numu ki raushni le kar uga hun sahra mein
main sabz ho nahin sakta hun ghas ho kar bhi

wajud wahm bana miT gaya magar phir bhi
tumhaare pas nahin hun qayas ho kar bhi

ye aadmi pe hukumat tumhein mubarak ho
faqir kaise chhupe KHush-libas ho kar bhi


Leave a comment

+