chhupī dil meñ jo yād-e-yār hogī
masāfat aur bhī dushvār hogī
ḳhabar kyā thī ki haa.il rāste meñ
pas-e-dīvār bhī dīvār hogī
gila inkār kā us se karūñ kyā
koī to sūrat-e-inkār hogī
use jab mānñā kuchh bhī nahīñ hai
dalālat bhī mirī be-kār hogī
mujhe ma.alūm hī kab thā ye pahle
ḳhirad ḳhud hī junūñ-āsār hogī
sar-e-mahfil mirī ātish-bayānī
kisī kā sho.ala-e-ruḳhsār hogī
vo gul mahkegā jab dil ke chaman meñ
mirī har saañs ḳhushbū-dār hogī
ġhurūr-e-sar-bulandī kyā ki ik din
na sar hogā na ye dastār hogī
mirī ḳhāk-e-badan ik roz 'shāhid'
barā.e kūcha-e-dildār hogī
chhupi dil mein jo yaad-e-yar hogi
masafat aur bhi dushwar hogi
KHabar kya thi ki hail raste mein
pas-e-diwar bhi diwar hogi
gila inkar ka us se karun kya
koi to surat-e-inkar hogi
use jab manna kuchh bhi nahin hai
dalalat bhi meri be-kar hogi
mujhe malum hi kab tha ye pahle
KHirad KHud hi junun-asar hogi
sar-e-mahfil meri aatish-bayani
kisi ka shoala-e-ruKHsar hogi
wo gul mahkega jab dil ke chaman mein
meri har sans KHushbu-dar hogi
ghurur-e-sar-bulandi kya ki ek din
na sar hoga na ye dastar hogi
meri KHak-e-badan ek roz 'shahid'
barae kucha-e-dildar hogi
Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab
Leave a comment