Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ibn e Insha

  • Ghazal


ai dil walo ghar se niklo deta dawat-e-am hai chand


ai dil vaalo ghar se niklo detā dāvat-e-ām hai chāñd
shahroñ shahroñ qariyoñ qariyoñ vahshat kā paiġhām hai chāñd

tū bhī hare darīche vaalī aa jā bar-sar-e-bām hai chāñd
har koī jag meñ ḳhud sā DhūñDe tujh bin base ārām hai chāñd

sakhiyoñ se kab sakhiyāñ apne jī ke bhed chhupātī haiñ
ham se nahīñ to us se kah de kartā kahāñ kalām hai chāñd

jis jis se use rabt rahā hai aur bhī log hazāroñ haiñ
ek tujhī ko be-mehrī kā detā kyuuñ ilzām hai chāñd

vo jo terā daaġh ġhulāmī māthe par liye phirtā hai
us kā naam to 'inshā' Thahrā nāhaq ko badnām hai chāñd

ham se bhī do bāteñ kar le kaisī bhīgī shaam hai chāñd
sab kuchh sun le aap na bole terā ḳhuub nizām hai chāñd

ham is lambe-chauḌe ghar meñ shab ko tanhā hote haiñ
dekh kisī din aa mil ham se ham ko tujh se kaam hai chāñd

apne dil ke mashriq-o-maġhrib us ke ruḳh se munavvar haiñ
be-shak terā ruup bhī kāmil be-shak tū bhī tamām hai chāñd

tujh ko to har shaam falak par ghaTtā-baḌhtā dekhte haiñ
us ko dekh ke iid kareñge apnā aur islām hai chāñd

ai dil walo ghar se niklo deta dawat-e-am hai chand
shahron shahron qariyon qariyon wahshat ka paigham hai chand

tu bhi hare dariche wali aa ja bar-sar-e-baam hai chand
har koi jag mein KHud sa DhunDe tujh bin base aaram hai chand

sakhiyon se kab sakhiyan apne ji ke bhed chhupati hain
hum se nahin to us se kah de karta kahan kalam hai chand

jis jis se use rabt raha hai aur bhi log hazaron hain
ek tujhi ko be-mehri ka deta kyun ilzam hai chand

wo jo tera dagh ghulami mathe par liye phirta hai
us ka nam to 'insha' Thahra nahaq ko badnam hai chand

hum se bhi do baaten kar le kaisi bhigi sham hai chand
sab kuchh sun le aap na bole tera KHub nizam hai chand

hum is lambe-chauDe ghar mein shab ko tanha hote hain
dekh kisi din aa mil hum se hum ko tujh se kaam hai chand

apne dil ke mashriq-o-maghrib us ke ruKH se munawwar hain
be-shak tera rup bhi kaamil be-shak tu bhi tamam hai chand

tujh ko to har sham falak par ghaTta-baDhta dekhte hain
us ko dekh ke id karenge apna aur islam hai chand


Source: Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 175) Author : Farooq Argali Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004) Edition : 2004

Leave a comment

+