Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Obaid Siddiqi

  • Ghazal


teri nisbat se apni zat ka idrak karne mein


tirī nisbat se apnī zaat kā idrāk karne meñ
bahut arsa lagā hai pairahan ko chaak karne meñ

tirī bastī ke bāshinde bahut āsūda-ḳhātir haiñ
takalluf ho rahā hai dard ko poshāk karne meñ

ham apne jism kā sonā safar par le ke nikle haiñ
magar Darte haiñ is ko rāstoñ kī ḳhaak karne meñ

faqat ik dīda-e-tar hai ki jo sairāb kartā hai
samundar suukh jaate haiñ badan namnāk karne meñ

hamāre saath kuchh guzre hue mausam bhī shāmil haiñ
tamāshā-gāh-e-ālam tujh ko ibrat-nāk karne meñ

teri nisbat se apni zat ka idrak karne mein
bahut arsa laga hai pairahan ko chaak karne mein

teri basti ke bashinde bahut aasuda-KHatir hain
takalluf ho raha hai dard ko poshak karne mein

hum apne jism ka sona safar par le ke nikle hain
magar Darte hain is ko raston ki KHak karne mein

faqat ek dida-e-tar hai ki jo sairab karta hai
samundar sukh jate hain badan namnak karne mein

hamare sath kuchh guzre hue mausam bhi shamil hain
tamasha-gah-e-alam tujh ko ibrat-nak karne mein


Source: Book : kulliyat-e-habib jaalib (Pg. 255)

Leave a comment

+