Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghulam Mohammad Qasir

  • Ghazal


galiyon ki udasi puchhti hai ghar ka sannaTa kahta hai


galiyoñ kī udāsī pūchhtī hai ghar kā sannāTā kahtā hai
is shahr kā har rahne vaalā kyuuñ dūsre shahr meñ rahtā hai

ik ḳhvāb-numā bedārī meñ jaate hue us ko dekhā thā
ehsās kī lahroñ meñ ab tak hairat kā safīna bahtā hai

phir jism ke manzar-nāme meñ so.e hue rañg na jaag uTTheñ
is ḳhauf se vo poshāk nahīñ bas ḳhvāb badaltā rahtā hai

chhe din to baḌī sachchā.ī se sāñsoñ ne payām-rasānī kī
ārām kā din hai kis se kaheñ dil aaj jo sadme sahtā hai

har ahd ne zinda ġhazloñ ke kitne hī jahāñ ābād kiye
par tujh ko dekh ke sochtā huuñ ik sher abhī tak rahtā hai

galiyon ki udasi puchhti hai ghar ka sannaTa kahta hai
is shahr ka har rahne wala kyun dusre shahr mein rahta hai

ek KHwab-numa bedari mein jate hue us ko dekha tha
ehsas ki lahron mein ab tak hairat ka safina bahta hai

phir jism ke manzar-name mein soe hue rang na jag uTThen
is KHauf se wo poshak nahin bas KHwab badalta rahta hai

chhe din to baDi sachchai se sanson ne payam-rasani ki
aaram ka din hai kis se kahen dil aaj jo sadme sahta hai

har ahd ne zinda ghazlon ke kitne hi jahan aabaad kiye
par tujh ko dekh ke sochta hun ek sher abhi tak rahta hai

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Ghulam Mohammad Qasir RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 galiyon ki udasi puchhti hai ghar ka sannaTa kahta hai Nomaan Shauque

Leave a comment

+