Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nadeem ahmad

  • Ghazal


munh-andhere hi koi ghar se nikalta hua tha


muñh-añdhere hī koī ghar se nikaltā huā thā
ek manzar thā ki manzar se nikaltā huā thā

ek ḳhilqat ki na hone meñ phañsī jaatī thī
aur maiñ hone ke chakkar se nikaltā huā thā

kuchh to vo ḳhud hī chalā aayā thā bāhar bāhar
aur kuchh maiñ bhī ab andar se nikaltā huā thā

ḳhuub raushan sī koī chiiz mire sāmne thī
aur dhuāñ thā ki mire sar se nikaltā huā thā

muddatoñ yuuñ hī tah-e-bāl chale aate the
āsmāñ thā ki mire par se nikaltā huā thā

munh-andhere hi koi ghar se nikalta hua tha
ek manzar tha ki manzar se nikalta hua tha

ek KHilqat ki na hone mein phansi jati thi
aur main hone ke chakkar se nikalta hua tha

kuchh to wo KHud hi chala aaya tha bahar bahar
aur kuchh main bhi ab andar se nikalta hua tha

KHub raushan si koi chiz mere samne thi
aur dhuan tha ki mere sar se nikalta hua tha

muddaton yun hi tah-e-baal chale aate the
aasman tha ki mere par se nikalta hua tha


Leave a comment

+