Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tahzeeb Hafi

  • Ghazal


ajib KHwab tha uske badan mein kai thi


ajiib ḳhvāb thā us ke badan meñ kaa.ī thī
vo ik parī jo mujhe sabz karne aa.ī thī

vo ik charāg-kada jis meñ kuchh nahīñ thā mirā
jo jal rahī thī vo qindīl bhī parā.ī thī

na jaane kitne parindoñ ne is meñ shirkat kī
kal ek peḌ kī taqrīb-e-rū-numā.ī thī

havāv aao mire gaañv kī taraf dekho
jahāñ ye ret hai pahle yahāñ tarā.ī thī

kisī sipāh ne ḳheme lagā diye haiñ vahāñ
jahāñ pe maiñ ne nishānī tirī dabā.ī thī

gale milā thā kabhī dukh bhare december se
mire vajūd ke andar bhī dhund chhā.ī thī

ajib KHwab tha us ke badan mein kai thi
wo ek pari jo mujhe sabz karne aai thi

wo ek charag-kada jis mein kuchh nahin tha mera
jo jal rahi thi wo qindil bhi parai thi

na jaane kitne parindon ne is mein shirkat ki
kal ek peD ki taqrib-e-ru-numai thi

hawaw aao mere ganw ki taraf dekho
jahan ye ret hai pahle yahan tarai thi

kisi sipah ne KHeme laga diye hain wahan
jahan pe main ne nishani teri dabai thi

gale mila tha kabhi dukh bhare december se
mere wajud ke andar bhi dhund chhai thi


Leave a comment

+