Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nadeem ahmad

  • Ghazal


rukna paDega aur bhi chalne ke nam par


ruknā paḌegā aur bhī chalne ke naam par
girtī rahegī ḳhalq sambhalne ke naam par

phañstā gayā huuñ aur nikalne kī sa.ī meñ
aafat mazīd aa.ī hai Talne ke naam par

ye kyā tilism hai ki ubharne ke shauq meñ
āvāz dab ga.ī hai nikalne ke naam par

dil kā shajar to aur bhī palne kī aaḌ meñ
murjhā gayā hai phūlne-phalne ke naam par

vo jā chukā hai aur badan ke navāh meñ
ab jam rahī hai barf pighalne ke naam par

badlegā koī roz na.e-pan ke shauq meñ
yaksāñ rahegā koī badalne ke naam par

ma.anī kā sabza-gāh nazar aa gayā to phir
bhaḌkegā lafz sher meñ Dhalne ke naam par

rukna paDega aur bhi chalne ke nam par
girti rahegi KHalq sambhalne ke nam par

phansta gaya hun aur nikalne ki sai mein
aafat mazid aai hai Talne ke nam par

ye kya tilism hai ki ubharne ke shauq mein
aawaz dab gai hai nikalne ke nam par

dil ka shajar to aur bhi palne ki aaD mein
murjha gaya hai phulne-phalne ke nam par

wo ja chuka hai aur badan ke nawah mein
ab jam rahi hai barf pighalne ke nam par

badlega koi roz nae-pan ke shauq mein
yaksan rahega koi badalne ke nam par

mani ka sabza-gah nazar aa gaya to phir
bhaDkega lafz sher mein Dhalne ke nam par


Leave a comment

+