javāñ hai raat sāqiyā sharāb lā sharāb lā
zarā sī pyaas to bujhā sharāb lā sharāb lā
tire shabāb par sadā karam rahe bahār kā
tujhe lage mirī duā sharāb lā sharāb lā
yahāñ koī na jī sakā na jī sakegā hosh meñ
miTā de naam hosh kā sharāb lā sharāb lā
tirā baḌā hī shukriya pilā.e jā pilā.e jā
na zikr kar hisāb kā sharāb lā sharāb lā
jawan hai raat saqiya sharab la sharab la
zara si pyas to bujha sharab la sharab la
tere shabab par sada karam rahe bahaar ka
tujhe lage meri dua sharab la sharab la
yahan koi na ji saka na ji sakega hosh mein
miTa de nam hosh ka sharab la sharab la
tera baDa hi shukriya pilae ja pilae ja
na zikr kar hisab ka sharab la sharab la
Leave a comment