Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faez Dehlvi

  • Ghazal


zulf teri hui kamand mujhe


zulf terī huī kamand mujhe
is meñ bāñdhā hai band band mujhe

ḳhaak setī sajan uThā ke kiyā
ishq tere ne sar-buland mujhe

tere ġham suuñ huā huuñ dīvāna
na kiyā naf.a koī pand mujhe

nahīñ jag biich aur ai dilbar
vasl bin tere sūd-mand mujhe

maiñ giraftār huuñ tire mukh par
jag meñ na.iiñ aur kuchh pasand mujhe

'fā.ez' is taur se huā hai malūl
tuuñ jalātā hai jiyūñ sipand mujhe

zulf teri hui kamand mujhe
is mein bandha hai band band mujhe

KHak seti sajan uTha ke kiya
ishq tere ne sar-buland mujhe

tere gham sun hua hun diwana
na kiya nafa koi pand mujhe

nahin jag bich aur ai dilbar
wasl bin tere sud-mand mujhe

main giraftar hun tere mukh par
jag mein nain aur kuchh pasand mujhe

'faez' is taur se hua hai malul
tun jalata hai jiyun sipand mujhe


Source: Book : Mauj-e-shafaq (Pg. 20) Author : Dr. Gopal Krishn Shafaq Publication : Dr. Gopal Krishn Shafaq (1995) Edition : 1995

Leave a comment

+