vo sard fāsla bas aaj kaTne vaalā thā
maiñ ik charāġh kī lau se lipaTne vaalā thā
bahut bikherā mujhe mire mehrbānoñ ne
mirā vajūd hī lekin simaTne vaalā thā
bachā liyā tirī ḳhushbū ke farq ne varna
maiñ tere vahm meñ tujh se lipaTne vaalā thā
usī ko chūmtā rahtā thā vo ki us ko bhī
aziiz thā vahī baazū jo kaTne vaalā thā
mujhī ko raah badalnī thī so badal Daalī
kahīñ pahāḌ bhī Thokar se ha.Tne vaalā thā
talāsh jis kī thī vo harf mil gayā varna
maiñ ek saada varaq aur ulaTne vaalā thā
ye kis ko tiir chalāne kā shauq jaag uThā
vo baaz merī taraf hī jhapaTne vaalā thā
wo sard fasla bas aaj kaTne wala tha
main ek charagh ki lau se lipaTne wala tha
bahut bikhera mujhe mere mehrbanon ne
mera wajud hi lekin simaTne wala tha
bacha liya teri KHushbu ke farq ne warna
main tere wahm mein tujh se lipaTne wala tha
usi ko chumta rahta tha wo ki us ko bhi
aziz tha wahi bazu jo kaTne wala tha
mujhi ko rah badalni thi so badal Dali
kahin pahaD bhi Thokar se haTne wala tha
talash jis ki thi wo harf mil gaya warna
main ek sada waraq aur ulaTne wala tha
ye kis ko tir chalane ka shauq jag uTha
wo baz meri taraf hi jhapaTne wala tha
Leave a comment