Subscribe to our newsletter and get our newest updates

JaiKrishn Chaudhri Habeeb

  • Ghazal


mohabbat hi agar tujhko na ras aai to kya hoga


mohabbat hī agar tujh ko na raas aa.ī to kyā hogā
tire ġham meñ tabī.at merī ghabrā.ī to kyā hogā

tujhe paane kī ḳhātir kis qadar bechain rahtā huuñ
tujhe pā kar bhī gar taskīñ nahīñ paa.ī to kyā hogā

nahīñ piitā na pī zāhid magar ye to samajh letā
agar saaqī ne mai āñkhoñ se barsā.ī to kyā hogā

ham us ke dar pe jaane kī jo rusvā.ī hai sah leñge
talāsh us kī jo dar pe ġhair ke laa.ī to kyā hogā

kiye va.ade bhī tum ne aur dī mujh ko tasallī bhī
na tum aa.e shab-e-furqat na niiñd aa.ī to kyā hogā

ḳhizāñ ke daur meñ dekhī bahut gulshan kī barbādī
magar ab mausam-e-gul meñ ḳhizāñ aa.ī to kyā hogā

'habīb' is ghar ko ġhair aa.e jalāne ko to kyā ġham hai
sulagtī aag yāroñ ne jo bhaḌkā.ī to kyā hogā

mohabbat hi agar tujh ko na ras aai to kya hoga
tere gham mein tabiat meri ghabrai to kya hoga

tujhe pane ki KHatir kis qadar bechain rahta hun
tujhe pa kar bhi gar taskin nahin pai to kya hoga

nahin pita na pi zahid magar ye to samajh leta
agar saqi ne mai aankhon se barsai to kya hoga

hum us ke dar pe jaane ki jo ruswai hai sah lenge
talash us ki jo dar pe ghair ke lai to kya hoga

kiye wade bhi tum ne aur di mujh ko tasalli bhi
na tum aae shab-e-furqat na nind aai to kya hoga

KHizan ke daur mein dekhi bahut gulshan ki barbaadi
magar ab mausam-e-gul mein KHizan aai to kya hoga

'habib' is ghar ko ghair aae jalane ko to kya gham hai
sulagti aag yaron ne jo bhaDkai to kya hoga


Source: Book : Pakistani Adab (Pg. 347) Author : Dr. Rashid Amjad Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009) Edition : 2009

Leave a comment

+