Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Fakhr Abbas

  • Ghazal


jab meri aaine se banti hai


jab mirī aa.ine se bantī hai
shakl har zāviye se bantī hai

aadmī sabr se nikhartā hai
zindagī hausle se bantī hai

saath hai mushkiloñ meñ donoñ kā
dasht kī aable se bantī hai

dil-jalā dard ko samajhtā hai
dard kī dil jale se bantī hai

DhūñD kar be-shumār baiThe ho
kyā ġhazal qāfiye se bantī hai

jab meri aaine se banti hai
shakl har zawiye se banti hai

aadmi sabr se nikharta hai
zindagi hausle se banti hai

sath hai mushkilon mein donon ka
dasht ki aable se banti hai

dil-jala dard ko samajhta hai
dard ki dil jale se banti hai

DhunD kar be-shumar baiThe ho
kya ghazal qafiye se banti hai


Leave a comment

+