Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Fana bulandshahri

  • Ghazal


kis tarah chhoD dun ai yar main chahat teri


kis tarah chhoḌ duuñ ai yaar maiñ chāhat terī
mere īmān kā hāsil hai mohabbat terī

jaane kyā baat hai jalvoñ meñ tire jān-e-jahāñ
yaad aatā hai ḳhudā dekh ke sūrat terī

ab nigāhoñ meñ jachegā na koī rañg-o-jamāl
merī āñkhoñ ko pasand aa ga.ī rañgat terī

apnī qismat pe farishtoñ kī tarah naaz karūñ
mujh pe ho jaa.e agar chashm-e-ināyat terī

haram-o-dair ke jalvoñ se mujhe kyā matlab
shīsha-e-dil meñ utar aa.ī hai sūrat terī

āstāne se tire sar na uThegā merā
mudda.ā ban ke milī hai mujhe nisbat terī

maiñ 'fanā' ho ke pahuñch jā.ūñgā tere dar tak
raah dikhlāne lagī mujh ko mohabbat terī

kis tarah chhoD dun ai yar main chahat teri
mere iman ka hasil hai mohabbat teri

jaane kya baat hai jalwon mein tere jaan-e-jahan
yaad aata hai KHuda dekh ke surat teri

ab nigahon mein jachega na koi rang-o-jamal
meri aankhon ko pasand aa gai rangat teri

apni qismat pe farishton ki tarah naz karun
mujh pe ho jae agar chashm-e-inayat teri

haram-o-dair ke jalwon se mujhe kya matlab
shisha-e-dil mein utar aai hai surat teri

aastane se tere sar na uThega mera
muddaa ban ke mili hai mujhe nisbat teri

main 'fana' ho ke pahunch jaunga tere dar tak
rah dikhlane lagi mujh ko mohabbat teri


Source: Book : Kulliyat-e-Hafeez Jalandhari (Pg. 392)

Leave a comment

+